Monday, January 11, 2010

Ek ajeeb soch jo baar baar yaad aati hai

Kuch dino pahle mai Washington mai National museum dekhne gaya tha. Wahan maine aise bahut sare chizein dekhin jo ek normal ensaan humesha yaad rakhega. Wahan mai durlabh diamonds, ajib adbudh pathar dekhein par ye sab kuch mujhe yaad nahi aatein. Ek drisya jo baar deemag mai aa jata hai..woh hai ek budhe aadmi ka chehra jo wahan museum mai meri tarah sab kuch dekh raha tha par uske dekhne aur mere dekhne mai bahut farq tha.

Farq ye tha ki uski aakhon mai maine unn sabhi chizon ke liye lagao dekha...manno woh dil se dekh raha ho aur taarif kar raha ho....saayad woh iss soch ke sath dekh raha tha jaise woh fir dunia mai in sabhi chizon ko dekhne ke liye jinda nahi rahega..Usee dekh kar hin mujhe laga ki uska jeevan ab khatam hone wala hai. Uski woh nazrein aur uska yun har ek drishya ko niharna iss soch ke sath ki woh ab marne wala hai mere hosh ura gaya.Woh wheel chair pe tha. Uski biwi paas kahri thi aur sayd beti wheel chair ko push kar rahi thi. Uski aadmi ka khasne mai itna dard tha ki laga woh ab jayada din jinda nahi rahega. Woh ek ajib hasrat bhari nazron se sab kuch dekh raha tha.....glass pe uska haath baar baar phirana aur mann hin mann dubara dekhne ki tamanna mai saaf dekh sakta tha. Woh drisya mujhe baar baar yaad aata hai.Bhagwan usee himmat de apni bimari se larne ke liye.

No comments:

Post a Comment